कल्पना के अम्बर,
भावना के सागर,
कुछ बूँदें,
थोड़े ओस,
मिला दी है मैंने,
तो देखो,
मेरे शब्दों के,
कोई छोर नहीं,
किसी ओर नहीं.
Thursday, March 19, 2009
Wednesday, May 14, 2008
Khushiyan chun chun ke,
bade sapne bunti hun..
Din raat ke sargam ko,
sukoon se sunti hun..
Ab duniya ki mujhko,
khabar kab kahan hai..
Meri puri duniya hai jo,
uski parwa main karti hun..
bade sapne bunti hun..
Din raat ke sargam ko,
sukoon se sunti hun..
Ab duniya ki mujhko,
khabar kab kahan hai..
Meri puri duniya hai jo,
uski parwa main karti hun..
Tuesday, February 06, 2007
Thursday, January 18, 2007
Tuesday, December 19, 2006
Tuesday, October 17, 2006
Uski yaaden, koi khauf ya kahar,
jab bhi aati hai mann tadap sa jata hai,
Use dekhun, padhun, samajhun,
isse pahle hi dil dhadak sa jata hai,
Mere prashn patr ko dekhkar aaj fir,
kahungi ki mujhe kuchh nahin aata hai..
jab bhi aati hai mann tadap sa jata hai,
Use dekhun, padhun, samajhun,
isse pahle hi dil dhadak sa jata hai,
Mere prashn patr ko dekhkar aaj fir,
kahungi ki mujhe kuchh nahin aata hai..
Monday, October 16, 2006
Mere gulistan ko sajane ke liye,
kuchh naye rishte banane ke liye,
aur kabhi, kewal aane jane ke liye,
ehsaanmand hain, hum sada ke liye..
Tuesday, September 19, 2006
tumhare panvon ke nishaan,
har taraf hawaon mein,
thodi parchhai zameen par,
thodi si aasmaan mein,
aur maine dekha tha us roz,
haan, tumhe udte huye..
har taraf hawaon mein,
thodi parchhai zameen par,
thodi si aasmaan mein,
aur maine dekha tha us roz,
haan, tumhe udte huye..
Thursday, September 14, 2006
Ek chaahat ki sach mein,
anchahe jhooth piro raha tha,
paani ki boondon mein,
khud ko wo dubo raha tha,
wo mera hi ek tukda,
wahan khada ro raha tha..
anchahe jhooth piro raha tha,
paani ki boondon mein,
khud ko wo dubo raha tha,
wo mera hi ek tukda,
wahan khada ro raha tha..
Monday, August 28, 2006
Uske zulfon ke lahraane se,
aaye na fir se tufaan kahin,
mere chand ke sine ki aag mein,
jal na jaye wo maahtaab kahin,
aaj fir, aise khayalon ki garmi se,
barsega toot kar aasman kahin..
aaye na fir se tufaan kahin,
mere chand ke sine ki aag mein,
jal na jaye wo maahtaab kahin,
aaj fir, aise khayalon ki garmi se,
barsega toot kar aasman kahin..
Monday, August 14, 2006
Na wo soch, na jhijhak, na sharam,
na jaane ka gham, na aane ka waham,
na waise rangeen sapnon ka bharam,
tab wo koi aur tha, nahin mera sanam..
na jaane ka gham, na aane ka waham,
na waise rangeen sapnon ka bharam,
tab wo koi aur tha, nahin mera sanam..
Wednesday, August 09, 2006
Thursday, July 27, 2006
hansi..
woh, haan woh,
rahti thi kabhi,
dil mein, dhadkan mein jo,
uski yadon ka karwan,
gujarta gaya, gujar gaya,
jane na jane kabhi,
hansi bhi aayi,
aur muskaan se bhi,
chup raha na gaya,
ab sochna kya,
aur samjhaana kya,
dil-e-barbaad ko bahlana kya,
rone ka anjaam dekha,
ab zara hans kar dekhen...
rahti thi kabhi,
dil mein, dhadkan mein jo,
uski yadon ka karwan,
gujarta gaya, gujar gaya,
jane na jane kabhi,
hansi bhi aayi,
aur muskaan se bhi,
chup raha na gaya,
ab sochna kya,
aur samjhaana kya,
dil-e-barbaad ko bahlana kya,
rone ka anjaam dekha,
ab zara hans kar dekhen...
Wednesday, July 26, 2006
barsaat..
intezar ki rah chalkar,
ek aur mod mudkar,
na jane kya sochkar,
ruk sa gaya palbhar,
nazren jhuki thi,
saansen ruki si,
thak chala tha din,
sone lagi thi raat,
aur na jane kyon,
fir se huyi ek baar,
aansuon ki barsaat..
ek aur mod mudkar,
na jane kya sochkar,
ruk sa gaya palbhar,
nazren jhuki thi,
saansen ruki si,
thak chala tha din,
sone lagi thi raat,
aur na jane kyon,
fir se huyi ek baar,
aansuon ki barsaat..
Wednesday, June 21, 2006
Agar dard hi dil ki aadat,
khamoshi zubaan ki fitrat ho,
toh un aankh ki motiyon ko,
aansoo ka naam kyon den?
khamoshi zubaan ki fitrat ho,
toh un aankh ki motiyon ko,
aansoo ka naam kyon den?
Monday, June 19, 2006
Kamre mein kahin bhi,
roshni nahin,
aur tum bhi nahin
aane se jaane tak ki,
chhoti si ghadi,
kuchh kam bhi nahin
yaadon ke dher par,
ashq bahaayen,
aise kaabil tum bhi nahin,
hum bhi nahin..
roshni nahin,
aur tum bhi nahin
aane se jaane tak ki,
chhoti si ghadi,
kuchh kam bhi nahin
yaadon ke dher par,
ashq bahaayen,
aise kaabil tum bhi nahin,
hum bhi nahin..
Thursday, May 18, 2006
Wednesday, May 17, 2006
Aaqabat
jab tum na the, jab main na thi,
ek surur tha, thodi shokhi thi,
saanson mein bikharte-bahte,
do ruhon ko, aaqabat ki betaabi thi..
[Aaqabat - Other world]
ek surur tha, thodi shokhi thi,
saanson mein bikharte-bahte,
do ruhon ko, aaqabat ki betaabi thi..
[Aaqabat - Other world]
Thursday, May 11, 2006
Thursday, May 04, 2006
us paar
kuchh dhuaan, kuchh gubaar,
thodi khushi, dard apaar,
le chalo mujhe ab, mere ghar,
sirf mujhe, mera naam chhorkar,
le chalo zindagi ke us paar..
thodi khushi, dard apaar,
le chalo mujhe ab, mere ghar,
sirf mujhe, mera naam chhorkar,
le chalo zindagi ke us paar..
Tuesday, May 02, 2006
fir yaaden..
Meri umangon ki deewaron mein,
chaand aur taare sajaana,
badi hasraton se naye dost banana
samandar ki ret par,
kuchh der tak baith kar,
ek chhote se pal mein,
kai sadiyan gujaarna
hansna hasana, roothna manaana,
maane nahin toh aansoo bahaana,
haan mere yaaron se yaari nibhana
mammi ka muhjko salike sikhana
papa ka jeene ke tarike batana
ye saari chizen paraye na hote
meri zindgi mein gar tum aaye na hote..
chaand aur taare sajaana,
badi hasraton se naye dost banana
samandar ki ret par,
kuchh der tak baith kar,
ek chhote se pal mein,
kai sadiyan gujaarna
hansna hasana, roothna manaana,
maane nahin toh aansoo bahaana,
haan mere yaaron se yaari nibhana
mammi ka muhjko salike sikhana
papa ka jeene ke tarike batana
ye saari chizen paraye na hote
meri zindgi mein gar tum aaye na hote..
Wednesday, April 26, 2006
Mera mann..
bahakta hai,
Machalta hai,
pal mein bahalta hai
aur wo,
kabhi bhi jo,
ho nahin sakta,
uski aarzoo karta hai
samandar paar,
pal mein jaata,
aur pal mein aata hai
us par,
mera zor nahin hai
wo toh,
bas aur kahin hai...
Machalta hai,
pal mein bahalta hai
aur wo,
kabhi bhi jo,
ho nahin sakta,
uski aarzoo karta hai
samandar paar,
pal mein jaata,
aur pal mein aata hai
us par,
mera zor nahin hai
wo toh,
bas aur kahin hai...
Monday, April 24, 2006
No..!
some feelings, one relation
locked for months, now
seen them through the gap
fading, grieving, low
implacable pain, yet stolid
let them not weep, no!
locked for months, now
seen them through the gap
fading, grieving, low
implacable pain, yet stolid
let them not weep, no!
yunhi, ek baar..
dhuen ke chhantne par, dhool ke hatne par
aanchal lahraate, balkhaate, dekha tha use
soti si shaam mein jab aankhen khuli thi
palken jhapkaate, sharmaate, dekha tha use
na jaane ki jaldi mein, fir jaane kyon
jaate jaate yunhi, ek baar, dekha tha use
aanchal lahraate, balkhaate, dekha tha use
soti si shaam mein jab aankhen khuli thi
palken jhapkaate, sharmaate, dekha tha use
na jaane ki jaldi mein, fir jaane kyon
jaate jaate yunhi, ek baar, dekha tha use
Wednesday, April 19, 2006
sawal..
Aaj uthi jo ye lehar,
toh pata nahin saagar kahan hai?
Agar dekha nahin use,
toh jo dekhegi wo nazar kaun hai?
Samajh sako toh samajh lo,
warna puchhungi hua kya hai?
Sun sako jo ye beqaraari,
toh kaho aakhir kyon hai?
Aaj agar hum tanha hain,
toh aanewaali wo bahaar kab hai?
toh pata nahin saagar kahan hai?
Agar dekha nahin use,
toh jo dekhegi wo nazar kaun hai?
Samajh sako toh samajh lo,
warna puchhungi hua kya hai?
Sun sako jo ye beqaraari,
toh kaho aakhir kyon hai?
Aaj agar hum tanha hain,
toh aanewaali wo bahaar kab hai?
Wednesday, April 12, 2006
jalne do na..
Main jalta hun, pal bhar,
tum rahne do na,
meri chaahaton ko mat roko,
ab bahne do na,
chhoone hi nahin, saanso mein,
tumhe bharne do na,
dil aag hai, bujh na jaye,
aur tez, jalne do na..
tum rahne do na,
meri chaahaton ko mat roko,
ab bahne do na,
chhoone hi nahin, saanso mein,
tumhe bharne do na,
dil aag hai, bujh na jaye,
aur tez, jalne do na..
Saturday, April 08, 2006
Aah..
Tere jane ke baad, sambhala hai,
teri yaadon ko, mere dil ko,
fir, tere aate hi sajaya hai,
khabon-khayalon ko, iss dil ko..
teri yaadon ko, mere dil ko,
fir, tere aate hi sajaya hai,
khabon-khayalon ko, iss dil ko..
Thursday, April 06, 2006
kuchh zindagi..
Sapno ke mahal banaati hun,
tootne par jinke, haqeeqat mein,
main, ji bhar ke roti hun.
tootne par jinke, haqeeqat mein,
main, ji bhar ke roti hun.
Saturday, April 01, 2006
Zaari
Duniya dekhi, duniyadaari dekhi,
purane rishton ki, purakaari dekhi,
tere sadke ae dost, sikhne ki had dekhi,
bewafaai sikhi..
purane rishton ki, purakaari dekhi,
tere sadke ae dost, sikhne ki had dekhi,
bewafaai sikhi..
Wednesday, March 29, 2006
hone ka..
pal bhar ka dukh,
charo jahan ki khushiyan,
mere anginat khaab,
aur, sapnon ki khilti kaliyan,
zindagi ki aas,
purnta ka ehsaas,
sab kuchh mere paas hai,
par, dar hai uske khone ka,
ambar ke taare,
gujre raat aur din mere,
bachapan ki athkheliyan,
wo sakhi saheliyan,
har pal apnon ka saath,
aur, unke pyaar ki barsaat,
maana ye mil nahin sakta,
par, armaan hai use paane ka!
charo jahan ki khushiyan,
mere anginat khaab,
aur, sapnon ki khilti kaliyan,
zindagi ki aas,
purnta ka ehsaas,
sab kuchh mere paas hai,
par, dar hai uske khone ka,
ambar ke taare,
gujre raat aur din mere,
bachapan ki athkheliyan,
wo sakhi saheliyan,
har pal apnon ka saath,
aur, unke pyaar ki barsaat,
maana ye mil nahin sakta,
par, armaan hai use paane ka!
Wednesday, March 22, 2006
tum aaye..
bahte bahte, rukne lagi,
zindgi, jab tum aaye,
Jaagte bhi, sote rahe,
sapne, jab tum aaye,
socha par kah na saki,
aadatan, jab tum aaye,
ab kahun, ya na kahun,
shukriya, jo tum aaye..
zindgi, jab tum aaye,
Jaagte bhi, sote rahe,
sapne, jab tum aaye,
socha par kah na saki,
aadatan, jab tum aaye,
ab kahun, ya na kahun,
shukriya, jo tum aaye..
Wednesday, March 15, 2006
Saturday, March 11, 2006
fir se..
aks ke tukde, samete ja rahi thi,
raat ki chadar, lapete ja rahi thi,
kuchh toota tha shayad!
raat ki chadar, lapete ja rahi thi,
kuchh toota tha shayad!
Saturday, February 18, 2006
bechara
Kisi ko dekha,dekha kisi ko,
aankhen chaar nahin aath huyi,
kyonki chashme se dekha use,
jo chashma pehan ke aayi,
thodi sharmayi, thodi ghabrayi,
haathone mein chai ka tray wo lai,
shock toh laga, par chashma na toota,
jo nazar se utar ke wo dil mein samayi,
ab do chaar sawalon ki jhadi lagayi,
sawal sidhe saade,
jaise chai kya aapne banai,
jawab mein simple pendulum jaise,
wo apna sar upar aur niche layi,
koi na dikha toh baat badhai,
na na baaton se pahle haath badhya,
par udhar se koi response na aayi,
dil ka panchhi toh nikal bhaga,
dimag tha kaboo mein toh yeh sandeh jaga,
samne wala itna kyon chup hai,
aisa toh nahin ki wo by birth mook hai,
uparwale ko yaad kar dubara prayas kiya,
priye kuchh kaho, yun toh chup na raho,
badi surili si ek aawaz aayi,
ji meri hamdardi aapke saath hai,
magar mera haath kisi aur ke haath hai.
aankhen chaar nahin aath huyi,
kyonki chashme se dekha use,
jo chashma pehan ke aayi,
thodi sharmayi, thodi ghabrayi,
haathone mein chai ka tray wo lai,
shock toh laga, par chashma na toota,
jo nazar se utar ke wo dil mein samayi,
ab do chaar sawalon ki jhadi lagayi,
sawal sidhe saade,
jaise chai kya aapne banai,
jawab mein simple pendulum jaise,
wo apna sar upar aur niche layi,
koi na dikha toh baat badhai,
na na baaton se pahle haath badhya,
par udhar se koi response na aayi,
dil ka panchhi toh nikal bhaga,
dimag tha kaboo mein toh yeh sandeh jaga,
samne wala itna kyon chup hai,
aisa toh nahin ki wo by birth mook hai,
uparwale ko yaad kar dubara prayas kiya,
priye kuchh kaho, yun toh chup na raho,
badi surili si ek aawaz aayi,
ji meri hamdardi aapke saath hai,
magar mera haath kisi aur ke haath hai.
Friday, February 17, 2006
Ek raat
Zindagi se lambi,
maut se gahri,
wo raat, door kisi,
pahadi par thi thahri,
thaharna jo bhuli,
hawa chalti gayi,
chalti hi gayi,
pahar tak magar,
gayi nahin chandni,
aur uska tej,
tej tha chand,
aur bujhi si ghatayen,
ghataon ki god mein,
soye se taare,
taaron ke kalrav se,
shayad tooti thi nind,
toota nahin magar,
gati ka sangeet.
maut se gahri,
wo raat, door kisi,
pahadi par thi thahri,
thaharna jo bhuli,
hawa chalti gayi,
chalti hi gayi,
pahar tak magar,
gayi nahin chandni,
aur uska tej,
tej tha chand,
aur bujhi si ghatayen,
ghataon ki god mein,
soye se taare,
taaron ke kalrav se,
shayad tooti thi nind,
toota nahin magar,
gati ka sangeet.
Wednesday, February 15, 2006
tanhai
Tanhai mein aksar,
suna karte hain,
khamoshi ki aawazen,
bhid mein aksar,
rah jaate hain tadapkar,
haan mujhe darr lagta hai,
akelepan ke shor se!
suna karte hain,
khamoshi ki aawazen,
bhid mein aksar,
rah jaate hain tadapkar,
haan mujhe darr lagta hai,
akelepan ke shor se!
Saturday, February 11, 2006
Jalti sulagti wo,
saanson mein samaati rahi,
adharon se lagkar, nashe mein duboti gayi,
dhuen se raakh tak jo,
rang pal-pal badalti rahi,
saath apne jaan, thodi meri bhi le gayi.
saanson mein samaati rahi,
adharon se lagkar, nashe mein duboti gayi,
dhuen se raakh tak jo,
rang pal-pal badalti rahi,
saath apne jaan, thodi meri bhi le gayi.
Tuesday, January 31, 2006
Yaad
shaam ki tanhaiyon mein,
jaane kyon, mann fir aaj udaas hai,
main hoon, main hi hoon, aur..
kuchhek saaman mere paas hai,
band darwazon ke dariche se,
jhaank kar laut gayi hawa,
ya parde se takrai aur..
khaamoshiyon mein kho gayi hawa,
yaadon ki potli jo kholi,
toh nikla kuchh kahani jaisa,
gard mein dooba, aadha bhula hua,
rangheen, kuchh paani jaisa.
jaane kyon, mann fir aaj udaas hai,
main hoon, main hi hoon, aur..
kuchhek saaman mere paas hai,
band darwazon ke dariche se,
jhaank kar laut gayi hawa,
ya parde se takrai aur..
khaamoshiyon mein kho gayi hawa,
yaadon ki potli jo kholi,
toh nikla kuchh kahani jaisa,
gard mein dooba, aadha bhula hua,
rangheen, kuchh paani jaisa.
Monday, January 30, 2006
nayan
do uthte nayan, do jhukte nayan,
sine ke andar, wo chubhte nayan,
gham ki ghatayen, mayusi ke pawan,
aur ashkon se bojhal, baraste nayan,
madira ki lahron mein doob jane ko,
nashe mein machalte, bahakte nayan,
viraane se khali, ujde se chaman,
sune murjhaye, gumsum se nayan.
sine ke andar, wo chubhte nayan,
gham ki ghatayen, mayusi ke pawan,
aur ashkon se bojhal, baraste nayan,
madira ki lahron mein doob jane ko,
nashe mein machalte, bahakte nayan,
viraane se khali, ujde se chaman,
sune murjhaye, gumsum se nayan.
Tuesday, January 24, 2006
Khichdi
Ek wo hain premi jo tajmahal banaate hain,
humne kaha, suniye ji!
tajmahal nahin naa sahi,
chaliye taj mein khaate hain,
mere kadke pati ne ghabra kar kaha,
jaaneman taj nahin,bas ab aur aaj nahin,
chalo khichdi ghar mein banate hain,
bacchon ke saath picnic manaate hain,
athak parishram aur anginat bahane,
rang laaye ki bacche maane,
hawala diya tradition mein modernity ka,
kaha,five star mein kahan wo baat hai,
fikr na kar tere papa tere saath hain,
picnic mein chaar chaand lagayenge,
khichdi mummy nahin, papa banayenge,
masoomon ki udasi ab toh dekhi nahin jati,
ghadi mein do aur chehre par baje barah,
kisi tarah aakhirkar huyi khichdi taiyar,
pura hua tab chaar ghante ka intezaar,
padosiyon ko bhi tha magar khichdi se hi pyar,
ain waqt aa dhamke,
swagat kiya khichdi ke dam se,
haan ji, hum bhookhe rah gaye,
dil ke armaan aansuon mein bah gaye.
humne kaha, suniye ji!
tajmahal nahin naa sahi,
chaliye taj mein khaate hain,
mere kadke pati ne ghabra kar kaha,
jaaneman taj nahin,bas ab aur aaj nahin,
chalo khichdi ghar mein banate hain,
bacchon ke saath picnic manaate hain,
athak parishram aur anginat bahane,
rang laaye ki bacche maane,
hawala diya tradition mein modernity ka,
kaha,five star mein kahan wo baat hai,
fikr na kar tere papa tere saath hain,
picnic mein chaar chaand lagayenge,
khichdi mummy nahin, papa banayenge,
masoomon ki udasi ab toh dekhi nahin jati,
ghadi mein do aur chehre par baje barah,
kisi tarah aakhirkar huyi khichdi taiyar,
pura hua tab chaar ghante ka intezaar,
padosiyon ko bhi tha magar khichdi se hi pyar,
ain waqt aa dhamke,
swagat kiya khichdi ke dam se,
haan ji, hum bhookhe rah gaye,
dil ke armaan aansuon mein bah gaye.
Friday, January 20, 2006
Sapna
Main soyi thi,
sapnon mein khoyi thi,
kisne jagaaya,
samajh mein na aaya,
ab tha saath mere,
ek ajanabi ka saya,
sapnon ke tajmahal mein,
aarzoo ki kaya,
dhire se ek baar,
wo muskaraya,
mera dil toh fir,
sambhal na paya,
kya kahoon kaise kahoon,
ab usko paraya,
apna nahin par apne jaisa hai wo,
sapna nahin par sapne jaisa hai wo.
sapnon mein khoyi thi,
kisne jagaaya,
samajh mein na aaya,
ab tha saath mere,
ek ajanabi ka saya,
sapnon ke tajmahal mein,
aarzoo ki kaya,
dhire se ek baar,
wo muskaraya,
mera dil toh fir,
sambhal na paya,
kya kahoon kaise kahoon,
ab usko paraya,
apna nahin par apne jaisa hai wo,
sapna nahin par sapne jaisa hai wo.
Saturday, July 09, 2005
Friday, July 08, 2005
wo...
kabhi main hoti thi jinmein,
wo haathon ki lakeeren
ab mitaane laga hai
Jinse kabhi zindagi sawaren,
wo haseen yaaden ab
bhulane laga hai
wo haathon ki lakeeren
ab mitaane laga hai
Jinse kabhi zindagi sawaren,
wo haseen yaaden ab
bhulane laga hai
Tuesday, October 14, 2003
gham
samandar ki ek lehar,
jo thamti na thi,
shaam ki wo ghadi,
jo badhti na thi,
Par badh rahi thi,
umr uski,
haan wo raat,
sau baras lambi thi,
sheeshe ke kuchh tukre,
zameen par the bikhre,
khud se ye puchhte,
ki wo kisse hain bichhre,
chirag jaisa,
kuchh jal raha tha,
zindagi ki tarah,
mom pighal raha tha,
andhere men khada,
wo ro raha tha,
ro raha tha.............
jo thamti na thi,
shaam ki wo ghadi,
jo badhti na thi,
Par badh rahi thi,
umr uski,
haan wo raat,
sau baras lambi thi,
sheeshe ke kuchh tukre,
zameen par the bikhre,
khud se ye puchhte,
ki wo kisse hain bichhre,
chirag jaisa,
kuchh jal raha tha,
zindagi ki tarah,
mom pighal raha tha,
andhere men khada,
wo ro raha tha,
ro raha tha.............
nahin
Logon ne jo samjha,
wo socha bhi ki nahin,
unhe khayal hai us khayal ka,
jo kabhi aaya hi nahin,
chahte hain sab janen,
dil ki baaten,
par isne kuchh kaha hi nahin,
agar daba tha kahin,
koi ehsaas to,
ab to kuchh raha hi nahin,
samjhte der lage shayad,
par samajh jayenge wo bhi,
ki nahin hai,
kuchh bhi nahin.
wo socha bhi ki nahin,
unhe khayal hai us khayal ka,
jo kabhi aaya hi nahin,
chahte hain sab janen,
dil ki baaten,
par isne kuchh kaha hi nahin,
agar daba tha kahin,
koi ehsaas to,
ab to kuchh raha hi nahin,
samjhte der lage shayad,
par samajh jayenge wo bhi,
ki nahin hai,
kuchh bhi nahin.
Monday, October 13, 2003
Khabon ka milan
Tere khabon men,
tere khayalon men,
baaton men, saanson me,
aur un ehsaason men,
jinme sirf main thi,
meri yaaden, chaahat,
aur aarzoo thi,
kaisi thi yaaden wo,
karti thi bechain jo,
aakar tadpaati thi,
aur kabhi naa jaati thi,
jinke dum se aas-pas,
mere hone ka ehsaas,
har pal milne ki aas thi,
wo pal, jo mere,
sapne laya tha,
wo sapne, jismen tune,
mujhe paya tha,
kaisa tha wo,
khawon ka milan,
kya waisa, jaisa
maine mehsoos kiya tha???
tere khayalon men,
baaton men, saanson me,
aur un ehsaason men,
jinme sirf main thi,
meri yaaden, chaahat,
aur aarzoo thi,
kaisi thi yaaden wo,
karti thi bechain jo,
aakar tadpaati thi,
aur kabhi naa jaati thi,
jinke dum se aas-pas,
mere hone ka ehsaas,
har pal milne ki aas thi,
wo pal, jo mere,
sapne laya tha,
wo sapne, jismen tune,
mujhe paya tha,
kaisa tha wo,
khawon ka milan,
kya waisa, jaisa
maine mehsoos kiya tha???
kyon hai??
Daurti bhagti, kabhi na rukti,
har rahi ke man ko janti,
un anant anginat sadkon men,
woh sadak jo is gali tak aati,
itni anjaan kyon hai?
Gali se mudkar,kuchh dur chalkar,
kisi purane kile sa dikhta,
woh makaan,
itna khaali khaali,
aur wiran kyon hai?
Makaan ke us munder par,
jaise khamoshi ki ho saagar,
aur uske kinaare baithi woh,
itni pareshaan kyon hai?
Dard jo andar hai,
baahar to nahin aata nazar,
phir yeh panchhi, ye mausam,
aur ye shaam ka suraj,
itne hairaan kyon hain?
Aakash hai sunaa, hawa hai chup,
din men bhi to nikla tha dhoop,
sangeet nahin koi shor nahin,
baahar to koi hod nahin,
phir mann men,
ye toofaan kyon hai???
har rahi ke man ko janti,
un anant anginat sadkon men,
woh sadak jo is gali tak aati,
itni anjaan kyon hai?
Gali se mudkar,kuchh dur chalkar,
kisi purane kile sa dikhta,
woh makaan,
itna khaali khaali,
aur wiran kyon hai?
Makaan ke us munder par,
jaise khamoshi ki ho saagar,
aur uske kinaare baithi woh,
itni pareshaan kyon hai?
Dard jo andar hai,
baahar to nahin aata nazar,
phir yeh panchhi, ye mausam,
aur ye shaam ka suraj,
itne hairaan kyon hain?
Aakash hai sunaa, hawa hai chup,
din men bhi to nikla tha dhoop,
sangeet nahin koi shor nahin,
baahar to koi hod nahin,
phir mann men,
ye toofaan kyon hai???
Subscribe to:
Posts (Atom)